Hindi Poetry - Yaadein Bhi Ajeeb Hoti Hai


(Source: Internet)

यादें भी अजीब होती है 
कभी नैमत बनकर बरस जाती है 
कभी क़यामत बनकर गरज जाती है 

एक सफर सा हो जैसे 
जो ख़तम नहीं होती है 
हाथ थाम कर चल पड़ती है 
और भूली बिसरी गलियों में 
तनहा छोड़के गुम हो जाती है 

यादें भी अजीब होती है 

एक कोहरा सा हो जैसे 
सामने होती है पर नज़र नहीं आती 
बस एक एहसास सा होता है 
किसी लम्हे के गुज़र जाने का एहसास 
और एक गहरा सन्नाटा रेह जाता है 

यादें भी अजीब होती है 
 कुछ भूली  नहीं जाती 
कुछ साथ नहीं रेह पति 



Yaadein bhi ajeeb hoti hai
Kabhi neymat bankar baras jati hai
Kabhi kayamat bankar garaj jati hai.


Ek safar sa ho jaise
Jo khatam nahi hota hai
Haath tham kar chal padhta hai
Aur bhuli bisri galion mein
Tanha chhodke gum ho jata hai.


Yaadein bhi ajeeb hoti hai


Ek kohra sa ho jaise
Samne hoti hai par nazar nahi ati
Bas ek ehsaas sa hota hai
Kisi lamhe ke guzar jane ka ehsaas
Aur ek gehra sannatreh jata hai.


Yaadein bhi ajeeb hoti hai
Kuch bhuli nahi jati
Kuch saath nahi reh pati.

Hindi Poetry - Zindagi Yunhi Guzar ti Rahi


   

कभी हस कर कभी उदास 
ज़िन्दगी यूँही गुज़रती रही । 

कभी लम्हो में कभी सदियों में 
सिमट कर बेह गयी । 

कभी मुठ्ठी से कभी ज़ंजीरों से 
फ़िसलती चली गयी 
ज़िन्दगी यूँही गुज़रती रही । 

कभी याद बन कर कभी दर्द बन कर
दिल में घर कर गयी । 

कभी एहसास की तरह कभी तेज़ाब की तरह 
सुलगती रह गयी । 

कभी अपनों की तरह कभी बेगानो की तरह 
आज़माती चली गयी 
ज़िन्दगी यूँही गुज़रती रही । 


Kabhi hans kar kabhi udaas
Zindagi yun hi guzar ti rahi..

Kabhi lamhon mein kabhi sadiyon mein
Simat kar beh gayi..

Kabhi mutthi se kabhi zanjeeron se
Phisalti chali gayi.
Zindagi yun hi guzar ti rahi..

Kabhi yaad ban kar kabhi dard ban kar
Dil mein ghar kar gayi.

Kabhi ehsaas ki tarah kabhi tezaab ki tarah
Sulagti reh gayi.

Kabhi apno ki tarah kabhi begano ki tarah
Azmati chali gayi
Zindagi yun hi guzar ti rahi..

Hindi Poetry - Akshhar


अक्षरों से खेलना मेरा सपना है
अक्सर उन ही से हार जाती हूँ । 
मन में कदम रखे जब लगते है अपने है 
कागज़ पर आते ही खो देती हूँ ॥ 

कोई टीस है मन में दबी 
लफ्ज़ कुछ परेशान है । 
मेरे ख्यालों की सियाही से भरी 
कलम भी बईमान है ॥ 

न जाने कब बिन बताये आये 
दबे पाओ किसी कागज़ पर उतर आये । 
या फिर इंद्रधनुष बन जाये 
जो नज़र तो आये पर साथ न चल  पाए ॥ 

पूरी हो कभी मेरी भी कहानी 
जो कब से है मुझे सुनानी ॥ 

Aksharon se khelna mera sapna hai
Aksar un hi se haar jati hoon
Mann mein kadam rakhe to lage apne hai
Kaagaz par aate hi kho jate hai

Koi tis hai mann mein dabi
Lafz kuch pareshaan hai
Mere khayalon ki siyahi se bhari
Kalam bhi baimaan hai

Na jane kab bin bataye aaye
Dabe pao kisi kaagaz par utar aaye
Ya phir indradhanush ban jaye
Jo nazar to aaye par saath na chal paye

Puri ho kabhi meri bhi kahani
Jo kab se hai mujhe sunani.

#SnippetsOnLife2 - Life and Darkness

Have you ever thought about the bright side of darkness in your life? Recently I had the opportunity to ponder upon the reality and even th...