Ek nazm likhna chaahti hoon
Par alfaz kam padh jate hai,
Khayalon ke is jangal mein
Sab jazbaat goom se ho jate hai.
Waqt Ki hateli itni tang kyun hai?
Koi pal theherte nahi kyun hai?
Kisi chalachitr ke jaise
Lamho ko guzarta dekh rahi hoon main,
Na Jane kab lamha guzar gaya woh
Abhi muththi mein jakad rakha tha joh.
Ab na jane kab woh shaam hogi
Jab hoton par muskaan aur ankhein nam hongi,
Jazbaat ki lehre hoton ke kinare payegi
Kab woh log milenge jinke hone se
Kisi aur chiz ki zarorat na padhegi...
No comments:
Post a Comment